Sunday, August 29, 2010

insan main parivartan ya parivartan main insan??

main har subah uthkar aaina dekhta hoon,
din-pratidin mere chehre main badlaw aata hai,
shanka hoti hai ki, kahi aaina to nahi badal raha hai,
fir pata chalta hai aaina to wahi hai sirf insan badalata ja raha hai,
jab,
bachpan main, main aaina dekhta tha to,ek nishchint  balak ki chhavi utar aati thi,
jiske chehre par tanav ki door-door tak koi sikan nahi,
unmatt hokar ankh meechta hai,muh banata hai,kabhi aaina chhupata hai aur kabhi khud chhup jata hai,
aisa lagta hai mano uske netron par uski antaratma ka vishuddha pratibimb utarata ho,
aur wahi pratibimb paravartit hokar aaine main sachitra ukarata ho,
sanaih-sanaih wahi balak bada hota ja raha hai,
aaina to wahi hai sirf insan badalata ja raha hai,
jo kuch varsh poorva balak tha aaj wahi kaumaryata se pareepoorna hai,
angg paripakva ho chuke hai, vaksha sampoornata le chuka hai,
aur wah bhawnaon ke jvar main wah jane ko taiaayar hai,
aaj uske pas itna bhi waqt nahi ki, wah fir us aaine main aapne aapko nihar sake,
usse aathkheliyan kar sake jaisi wah bachpan main kiya karta tha,
aab to uske pass dost hain yaar hain saara sansar hai ,
khelne khilane ke liye,aankh moodne le liye muh chiadane ke liye,,
aaina bechara fir bhi isthir hai dekh raha hai insan main aate huye badlawon ko aur sochta hai ki,
kaise insan balak se kumar ban gaya aur aaine ko kaise nakarat chala gaya?
is bar bhi aaine ka dosh nahi hai wah to isthir hai , bas insan badalata ja raha hai,,
abhi kumar ke pas sab kuch hai isliye madmast hokar bhog-vilash ko poornata mankar bhog raha hai aham main choor hai,
aaina fir bhi isthir hai kyonki wah isthir rahne ke liye majboor hai,,,
aaj wahi balak jeevan ki sabhi awasthayein par kar chuka hai,
sirf sansein chal rahi hai kyonki wah aab vraddha ho chuka hai,
 maranaasann hai leta hua hai ,uske pas aur kuch bhi nahi sirf aur sirf wahi aaina hai,
wah us aaine main aapne aapko nihar raha hai aur soch raha hai,
ki kaise parivartan aapne panv badata gaya , insan fasta gaya aur ladkhadata gaya,
jis chehre par kabhi bachpan sawar tha, kabhi tej hi uska aadhar tha,
aaj wahi chehra jhurriyon se bhar chuka hai tej jata raha hai,
sab sath chhod chuke hai,sirf aaina hi use pass hai,
aab uske pass samay hai apne aapko dekhne ke liye,apne ateet ko duhrane ke liye,
lekin fir bhi wah braddha insan lajjit tha sakucha raha tha,
 kyonki,,
AAINA TO WAHI THA SIRF INSAN BADALATA JA RAHA THA !!!!!!

abhishek ek kavi ke roop main..

kavitaon ka rachnakar hoon main,
ankahe shabdon ko deta aakar hoon main,

har soch ko kalpnao ki mala main piro deta hoon,
asatya ho ya kalpanik sabhi ko satya jaise bata deta hoon,


srajankar bankar pita wali chhavi leta hoon,
main to ek kavi hoon kavita kahta hoon,
kya swarg kya nark? yahi rach deta hoon,
itna srajan karne ke bad bhi swayam ko bramha nahi kahta hoon,
bhawnao ko deta aakar kumhar ki tarah main,
bhawnao ki sadhna karne wala tapasvi hoon main,
itna kahkar bhi maine aab tak aham ko man main palne na diya,
rachnakar hoon main,is bat ka pata,swayam brahma ko chalne na diya,
samajh lena mujhko itna asan nahi hai dosto,
anchhuiii bhawnaon ko drasyamay kar dene wala,ishwar ka vardan hoon main!!!