Wednesday, September 29, 2010

tere roop-yauvan ko dekhkar lalsa hoti hai!
main bhi iska bhog karu, main bhi tujhse sambhog karu!
man kuch samay ke liye paresan hota hai, machalata hai!
machal ke fir swayam samabhalta hai!
mastishk, man se gujarish karta hai, ki
jiska tu  upbhog karna chahta hai wah tuchchh hai,kshanik hai!
bhog karna hai to uska kar jo avinashi hai,chahu-or vyapt  hai, jo advateey prempatra hai!
kuch samay pashchat man,mastishk ka kathan samajhata hai,apne aapko bhagyashali pata hai !
us aloki,avinashi,prempatra ko dhanyabad deta hai!
jo use har pal bhatakane na dene ke liye mastishk jaise shubh-chintak ka sath  deta hai!!!

No comments:

Post a Comment